Waqt

Waqt - Aage Bhi Jaane Na lyrics

rate me

Jo Bhi Hai, Bas Yahi Ek Pal Hai

Aage Bhi Jaane Na Tu…

Anjaane Saayo Ka Raaho Mein Dera Hai

Andekhi Baaho Ne Ham Sabko Ghera Hai

Ye Pal Ujaala Hai Baaqi Andhera Hai

Ye Pal Gawaana Na Ye Pal Hi Tera Hai

Jeene Waale Soch Le Yahi Waqt Hai Kar Le Puri Aarzoo

Aage Bhi ...

Is Pal Ke Jalwo Ne Mehfil Sawaari Hai

Is Pal Ki Garmi Ne Dhadkan Ubhaari Hai

Is Pal Ke Hone Se Duniya Hamaari Hai

Ye Pal Jo Dekho To Sadiyo Pe Bhaari Hai

Jeene Waale Soch Le Yahi Waqt Hai Kar Le Purii Aarzoo

Aage Bhi ...

Is Pal Ke Saaye Mein Apna Thhikaana Hai

Is Pal Ke Aage Hi Har Shae Fasaana Hai

Kal Kisne Dekha Hai Kal Kisne Jaana Hai

Is Pal Se Paayega Jo Tujhko Paana Hai

Jeene Waale Soch Le Yahi Waqt Hai Kar Le Puri Aarzoo

Aage Bhi

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found