Waheeda Rehman - ye mahalo.n, ye taKto.n, ye taajo.n kii duniyaa lyrics
rate meye mahalo.n, ye taKto.n, ye taajo.n kii duniyaa
ye inasaa.n ke dushman samaajo.n kii duniyaa - 2
ye daulat ke bhuukhe rivaazo.n kii duniyaa
ye duniyaa agar mil bhii jaaye to kyaa hai - 2
har ek jism ghaayal, har ek ruh pyaasii
nigaaho me.n ulajhan, dilo.n me udaasii
ye duniyaa hai yaa aalam-e-badahavaasii
ye duniyaa ...
jahaa.n ek khilaunaa hai inasaa.n kii hastii
ye bastii hai murdaa-parasto.n kii bastii
jahaa.n aur jiivan se hai maut sastii
ye duniyaa ...
javaanii bhaTakatii hai bezaar banakar
javaa.n jism sajate hai baazaar banakar
jahaa.n pyaar hotaa hai vyaapaar banakar
ye duniyaa ...
ye duniyaa jahaa.n aadamii kuchh nahii.n hai
vafaa kuchh nahii.n, dostii kuchh nahii.n hai - 2
jahaa.n pyaar ki kadr hii kuchh nahii.n hai
ye duniyaa ...
jalaa do, jalaa do ise phuu.nk Daalo ye duniyaa
mere saamane se haTaa lo ye duniyaa
tumhaarii hai tum hii sambhalo ye duniyaa, ye duniyaa ...