UDIT NARAYAN

UDIT NARAYAN - Main Yahaan Hoon lyrics

rate me

Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan..

(Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan) -2

Kaisi, sarhadein, kaisi majbooriyaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Tum chhupa na sakogi main woh raaz hoon

Tum bhoola na sakogi woh andaaz hoon

Goonjta hoon jo dil mein toh hairaan ho kyun

Main tumhaare hi dil ki toh awaaz hoon

Sun sako, toh suno, dhadkanon ki zabaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Kaisi, sarhadein, kaisi majbooriyaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Main hi main ab tumhaare khayaalon mein hoon

Main jawaabon mein hoon, main sawaalon mein hoon

Main tumhaare har ek khwaab mein hoon basa

Main tumhaari nazar ke ujaalon mein hoon

Dekhti, ho mujhe, dekhti ho jahaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Kaisi sarhadein, kaisi majbooriyaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found