UDIT NARAYAN AND BALI BRAHMBHATT

UDIT NARAYAN AND BALI BRAHMBHATT - Taaron Ka Chamakta lyrics

rate me

--MALE 1--

Eh hey, aa aa aa, oh ho, ho oh oh

Aa ha, ha aa aa, ho oh oh

Taaron ka chamakta gehna ho - 2

Phoolon ki mahekti vaadi ho

Us ghar mein khush haali aaye

Jis ghar mein tumhaari shaadi ho

Taaron ka chamakta gehna ho

Phoolon ki mahekti vaadi ho

Us ghar mein khush haali aaye

Jis ghar mein tumhaari shaadi ho

Yeh phool tumhaare zevar hai

Yeh chaand tumhaara aaina

Tum jab aise sharmaati ho

Dulhe ka dhadkta hai seena

Har aaina tumko dekhe

Tum to aisi shehzaadi ho

Us ghar mein khush haali aaye

Jis ghar mein tumhaari shaadi ho

--MALE 2--

Meri behna hai phool bahaaron ka

Meri behna hai noor nazaaron ka

Meri behna ke jaisi koi behna nahin

Bina iske kahin bhi mujhe rehna nahin

Jaise hai chaand sitaaron mein

Meri behna hai ek hazaaron mein

Hum jaise bhole bhaalon ki

Yeh duniya to hai dilwaalon ki

--MALE 1--

Yeh duniya hai dilwaalon ki - 2

Taaron ka chamakta gehna ho

Phoolon ki mahekti vaadi ho

Us ghar mein khush haali aaye

Jis ghar mein tumhaari shaadi ho

Khushiyon ke mahelon mein baitho

Koi gham na tumhaare paas aaye

Na umr ka pehra ho tum pe

Mere dil ki dua yeh rang laaye

Rab hasta hua rakhe tumko

Tum to hasne ki aadi ho

Us ghar mein khush haali aaye

Jis ghar mein tumhaari shaadi ho

(Taaron ka chamakta gehna ho

Phoolon ki mahekti vaadi ho

Us ghar mein khush haali aaye

Jis ghar mein tumhaari shaadi ho) - 2

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found