TOOFAN AUR DIYA movie - Nirbal se ladaai balwaan ki lyrics
rate meNirbal se ladaai balwaan ki -2
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki -2
Ik raat andhiyaari, thi dishaaye kaari-kaari
Mand-mand pawan tha chal raha
Andhiyaare ko mitaane, jag mein jyot jagaane
Ek chhota sa diya tha kahi jal raha
Apni dhun mein magan, uske tan mein agan
Uski lau mein lagan bhagwaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki
Kahi door tha toofaan...
Kahi door tha toofaan, diye se tha balwaan
Saare jag ko masalne machal raha
Jhaad ho ya pahaad, de woh pal mein ukhaad
Soch-soch ke zameen pe tha uchhal raha
Ek nanha sa diya, usne hamla kiya -2
Ab dekho lila vidhi ke vidhaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki
Duniya ne saath chhoda, mamta ne mukh moda
Ab diye pe ye dukh padne laga -2
Par himmat na haar, man mein marna vichaar
Atyaachaar ki hawa se ladne laga
Sar uthhaana ya jhukaana,
ya bhalaai mein mar jaana
Ghadi aayi uske bhi imtehaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki
Phir aisi ghadi aayi - 2, ghanghor ghata chhaayi
Ab diye ka bhi dil laga kaanpne
Bade zor se toofaan, aaya bharata udaan
Us chhote se diye ka bal maapne
Tab diya dukhiyaara, wah bichaara besahaara
Chala daau pe lagaane, (baazi praan ki) - 4
Chala daau pe lagaane, baazi praan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki
Ladte-ladte woh thaka, phir bhi bujh na saka -2
Uski jyot mein tha bal re sachchaai ka
Chaahe tha woh kamzor, par tooti nahi dor
Usne bida tha uthhaaya re bhalaai ka
Huwa nahi woh niraash, chali jab tak saans
Usse aas thi prabhu ke wardaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki
Sar patak-patak, pag jhatak-jhatak
Na hata paaya diye ko apni aan se
Baar-baar waar kar, ant mein haar kar
Toofaan bhaaga re maidaan se
Atyaachaar se ubhar, jali jyot amar
Rahi amar nishaani balidaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki
Nirbal se ladaai balwaan ki
Ye kahaani hai diye ki aur toofaan ki