Nai Maiusam Khuli Aankhoon Main
Your rating:
Naye mausam khuli aankhon main apne khwab likhte hain Naye mausam khuli aankhon main apne khwab likhte hain Ragon ke sard sannatay Lahoo ki sarsrahat main pighaltay hain Naye mausam khuli aankhon main apne khwab likhte hain Ke jin ke reshmi jismon ke sandesay Badan ne khwahishon ke badban kholay Kaheen dhundley jazeeron main woh raushan phool khiltay hain Khuli aankhon main raushan phool lehrayen To ham ghar se nikal aayen Ke khwab aahon ki soorat bheench le lekin Taraste raaston se zindagi paayen Hari shakhain hamay choone ko jhuk aayen To ham pagal hawa ki ssetiyon ka bhaid ban jaayen Naye mausam khuli aankhon main apne khwab likhte hain Naye mausam khuli aankhon main apne khwab likhte hain
Share your thoughts
No comments here yet... Be the first to give your opinion!