Tina Sani - Gar mujhe iska lyrics
rate memeray hamdam, meray dost
ger mujhay is ka yaqeen ho meray hamdam, meray dost
ger mujhay is ka yaqeen
ho keh teray dil ki thakan
teri aankhon ki udaasi, teray seenay ki jalan
meri diljoi. meray piyaar say mit jaye gee
ger mera harf e tassallee woh
dawa ho jis say
gee uthay phir tera ujra hua baynoor dimagh
teri peshani
say dhul jayen yeh tazleel kay daagh
teri beemar jawani ko shifa ho jaye
ger mujhay is ka yaqeen ko meray hamdam, meray dost
roz o shab, shaam o
sahar main tujhay behlata rahoon
main tujhay geet sunata rahoon halkay,
shereen,
aabsharon kay, baharon kay, chaman zaron kay geet
aamad e subah
kay, mahtaab kay, sayyaron kay geet
tujh say main husn o mohabbat ki
hikayaat kahon
kaisay maghroor haseenaaon kay baraf say jism
garam
haathon ki hararat main pighal jatay hain
kaisay eik chehray kay thahray
huay manoos naqsh
dekhtay dekhtay yak lakht badal jatay hain
kis tarah
aariz e mahboob ka shaffaf bilor
yak bayak baada e ahmer say dahak jata
hai
kaisay gulcheen kay liay jhukti hai khud shaakh e gulab
kis tarah
raat ka aiwaan mahak jata hai
yunhi gata rahoon, gata rahoon teri
khaatir
geet bunta rahoon, baitha rahoon teri khatir
per meray geet
teray dukh ka madawa hee nahee
naghma e jarrah nahee, monis o ghum khuwaar
*sahi*
geet nashter to nahee, marham aazaar *sahi* teray aazaar ka chara
nahee, nashtar kay siwa
aur yeh saffak maseeha meray qabzay main nahee
is jahan kay kisi zee roh kay qabzay main nahee
haan magar teray siwa, teray
siwa, teray siwa
Thanks to Riffat for correcting these lyrics