Tina Sani - Dasht-e-Tanhai Mein lyrics
rate meDasht-e-tanhaai main
ay jaan-e-jahaan
larzaan hain
teri aawaz ke sa’ay
teray honton ke saraab..!
Dasht-e-tanhaai main
ay jaan-e-jahaan
larzaan hain
teri aawaz ke sa’ay
teray honton ke saraab..!
Dasht-e-tanhaai main
duri ke khas-o-khaak talay
khill rahay hain teray pehlu ke saman
aur gulaab..!
Dasht-e-tanhaai main
ay jaan-e-jahaan
larzaan hain
Dasht-e-tanhaai main
Utth rahi hay kahin qurbat say
teri saans ki aanch
apani khushboo main
sulagti hui
maddham… maddham
dur ufaq paar chamakati hui
qatra… qatra
girr rahi hay teri dil daar nazar
ki shabnam..!
Dasht-e-tanhaai main
ay jaan-e-jahaan
larzaan hain
Dasht-e-tanhaai main
Is qadar pyaar say
ay jaan-e jahaan rakkhaa hay
dil ke rukhsaar pe is waqt
teri yaad ne haath
yun guman hota hay
garchay hay abhi subah-e-firaaq
dhal gaya hijr ka din aa bhi ga’ee
vasl ki raat..!
Dasht-e-tanhaai main
ay jaan-e-jahaan
larzaan hain
teri aawaz ke sa’ay
teray honton ke saraab..!
Dasht-e-tanhaai main
ay jaan-e-jahaan
larzaan hain
(Poet: Faiz Ahmed Faiz)