Tahira Sayed

Tahira Sayed - Badban Khulne Se lyrics

rate me

badbaan khulne se pehle

ka ishara dekhna

main samandar dekhti hoon

tum kinara dekhna

badbaan khulne se pehle

yun bicharna bhi bahut

asaan na tha usse magar

jaate jaate uska woh

mur kar dubara dekhna

badbaan khulne se pehle

kis shabahat ko liye

aaya hai darwaze pe chand

aye shab-e-hijraan zara

apna sitara dekhna

badbaan khulne se pehle

aaina ki aanch bhi

kuch kam na thi mere liye

jaane kab kya kya

dikhayega tumhara dekhna

badbaan khulne se pehle

ka ishara dekhna

main samandar dekhti hoon

tum kinara dekhna

badbaan khune se pehle

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found