Maaon ki dua
Your rating:
Maaon ki dua puri hui or hamein. Itni piyari duniya me ghar mil gaya. ALLAH ka ahsaan hai hamara Pakistan hai. Hum Aan, hum Shaan, hum iski Jaan hein, hum Pakistan hein. Har ek lamha iski khatir kaam krna hai. Duniya me ab Roshan iska naam krna hai. (2) Hum Aan, hum Shaan, hum iski Jaan hein, hum Pakistan hein. Waqt pare to iski khatir har dukh sehlenge. Jaan labon par aajae to phr b keh den ge. (2) Hum Aan, hum Shaan, hum iski Jaan hein, hum Pakistan hein. Khuwaab hai Iqbal ka, or Quaid ki omang. Jeevan sang lagaye rakhna iski har lagan. (2) Hum Aan, hum Shaan, hum iski Jaan hein, hum Pakistan hein. Maaon ki dua puri hui or hamein. Itni piyari duniya me ghar mil gaya. ALLAH ka ahsaan hai hamara Pakistan hai. Hum Aan, hum Shaan, hum iski Jaan hein, hum Pakistan hein.<br /> <br /> Thanks to Tasbi
Share your thoughts
No comments here yet... Be the first to give your opinion!