Aata Hai Zindagi Mein Bhala Pyaar Kis Tarah

Your rating:
(aata hai zindagi mein bhala pyaar kis tarah
bhala pyaar kis tarah) - 2
(aankhein uthaao phir main bataayuunga is tarah
bataayuunga is tarah) - 2

anjaan se milaap hoga to kis tarah - 2
hoga to kis tarah
(do laharein aa ke duur se mil jaayein jis tarah
ho mil jaayein jis tarah) - 2

aata hai zindagi mein bhala pyaar kis tarah
bhala pyaar kis tarah

ulfat mein gam jo aaye sahuungi main kis tarah - 2
sahuungi main kis tarah
(tuufaan mein naav chalati hai bach-bach ke jis tarah
ho bach-bach ke jis tarah) - 2

aata hai zindagi mein bhala pyaar kis tarah
bhala pyaar kis tarah

mujhako bhala kisi pe yaqin aaye kis tarah - 2
yaqin aaye kis tarah
(be-jaane-buujhe mujhako bharosa hai jis tarah
bharosa hai jis tarah) - 2

aata hai zindagi mein bhala pyaar kis tarah
bhala pyaar kis tarah
aankhein uthaao phir main bataayuunga is tarah
bataayuunga is tarah
Get 'Aata Hai Zindagi Mein Bhala Pyaar Kis Tarah' at: amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

No comments here yet... Be the first to give your opinion!