SONU NIGAM, VINOD RATHOD, POORNIMA, VAIJANTI - Aaj Kal Ki Ladkiyan lyrics
rate meAaj kal ki ladkiyaan kamaal karti hain
Hoy aaj kal ki ladkiyaan kamaal karti hain
Kisiko dil mein rakhti hain
Hey kisiko dil mein rakhti hain
Kisipe marti hain
Aaj kal ke ladke bhi kamaal karte hain
Aaj kal ke ladke bhi kamaal karte hain
Dekhke kisi bhi ladki ho hay
Aah bharte hain
Aaj kal ki ladkiyaan kamaal karti hain
Aaj kal ke ladke bhi kamaal karte hain
Ek to hai ye teekhi lauki uspe neem chadhi hay
Uspe neem chadhi
Kad iska chhota hai lekin karti baat badi
Mujhe pata hai darta hai ye peetar aur pater se
Petar aur pater se
Humse kehta hai ye lad jayega jaake sher se
Iska chehra thoda thoda milta hai salman se
Khud ko hero samjhe na ye kehdo is nadaan se
Oonchi oonchi sandal uspe pehenke kaala chashma
Bane heroine samjhe dekho khudko ye karisma
Aaj kal ki titliyaan kamaal karti hain
Aaj kal ki titliyaan kamaal karti hain
Kisiko dil mein rakhti hain
Kisipe marti hain
Aaj kal ki ladkiyaan kamaal karti hain
Aaj kal ke ladke bhi kamaal karte hain
Dekho yaaron ek bandariya chale hans ki chaal
Chale hans ki chaal
Gaana aur bajaana chaahe na samjhe sur taal
Mile jise na vo kehta hai khatta hai angoor
Khatta hai angoor
Aise to ladkon se aksar rehti hoon main door
Har ladki mujhko chaahe mujh mein hai aisi baat
Dekh dekhke mujhko hai chalti to ye din raat
Chal mere bhai panga na le isaay to bekaar mein
Kahin lipat jayega jaake is bijlike taar mein
Aaj kal ki bijliyaan kamaal karti hain hoy
Aaj kal ki bijliyaan kamaal karti hain
Kisiko dil mein rakhti hain
Kisipe marti hain
Aaj kal ki ladkiyaan kamaal karti hain
Aaj kal ke ladke bhi kamaal karte hain
Phoolon ke ras mein nahaai hai
Taaron ki duniya se aayi hai
Roop suhaana tu paai hai
Sabke dilon pe chhaai hai
Tu jis ghar mein jayegi
Saare andhere mitayegi
Khushiyon ke deep jalayegi
Sabka naseeb jagayegi
Aaj kal ki chhoriyaan kamaal karti hain hoy
Aaj kal ki chhoriyaan kamaal karti hain
Kisiko dil mein rakhti hain
Kisipe marti hain
Aaj kal ki ladkiyaan kamaal karti hain
Aaj kal ke ladke bhi kamaal karte hain.