SHAAN

SHAAN - Dastaan-E-Om Shanti Om lyrics

rate me

sunnewaalon suno aisa bhi hota hai

dil deta hai jo woh jaan bhi khota hai

pyar aisa jo karta hai, kya mar ke bhi marta hai, aao tum bhi aaj sunlo

dastan hai yeh ki ik tha naujawan jo dil hi dil me ek hasina ka tha diwana

woh haseena thi ke jisaki khubsurati, ka duniyabhar mein tha mashahoor afsaana

dono ki yeh kahaani hai jisako sabhi kehte hai om shanti om

(naujawaan ki thi aarjoo, usaki thi yehi justjoo

uss haseena mein usako mile, ishq ke saare rango?) - 2

usane na jaane yeh naadaani hai, woh reth ko samajha ke paani hai

kyun aisa tha, kis liye tha, yeh kahaani hai

daastaan hai yeh ke uss dilkash hassena ke, nigaahon dil mein koi dusara hi tha

bekhar iss baat se uss naujawaan, ke khaabon ka anjaam toh hona bura hi tha

tute khaabon ki uss daastaan ko sabhi kehte hai om shaanti om

sunnewaalon suno aisa bhi hota hai, koi jitna hase utana hi rota hai

deewaani hoke haseena, khaayi kya dhoke haseena, aao tum bhi aaj sunlo

daastaan hai yeh ki uss maasoom haseena ne jise chaaha o tha undar se harjaayi

sangdil se dil lagaake, bewafa ke haath aake, usane ik din maut hi paayi

ik sitam ka fasaana hai jisako sabhi kehte hai om shaanti om

kyun koi kaatil samajhata nahi, yeh julm wo hai jo jhukata nahi

yeh daag woh hai jo mitata nahi, rehta hai khuni ke haath par

khun uss haseena ka jab tha huva, koi waha tha pahunch toh gaya

lekin use woh bacha na saka, roya tha pyaar usake maut par

daastaan hai yeh ki jo pehchaanata hai khuni ko woh naujawaan hai laut ke aaya

keh rahi hai jindagi kaatil samajhale usake sar pe chha chuka hai maut ka saaya

janmo ki, karmo ki hai kahaani jise (kehte hai om shaanti om - 3)

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found