SALGIRAH movie

SALGIRAH movie - Meri Zindagi Hai Nagamaa lyrics

rate me

meri zindagi hai nagamaa meri zindagi taraanaa - 2

main sadaa-e-zindagi huun mujhe dhuundh le zamanaa

meri zindagi hai nagamaa meri zindagi taraanaa

main kisi ko kyaa bataauun mujhe yaad kuch nahin hai

kahaan rah gai bichad kar meri shaakh-e-aashiyaanaa

meri zindagi hai nagamaa (meri zindagi taraanaa - 2)

(mere dil ki dhadakanen hain - 2) mere bachapane ki yaaden

ke kahin-kahin se ab tak mujhe yaad hai fasaanaa

meri zindagi hai nagamaa meri zindagi taraanaa

mere soz mein tabassum meri aah mein tarannum - 2

main charaag shaam-e-gam huun meraa naam hai shabaanaa

meri zindagi hai nagamaa meri zindagi taraanaa

main sadaa-e-zindagi huun mujhe dhuundh le zamanaa

meri zindagi hai nagamaa (meri zindagi taraanaa - 2)

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found