Saleem Raza - Magar Aiy Haseena Nazneen lyrics
rate meTujhe pyaar aaye kisi pe kab
Tera jo sitam hai vo besabab
Tera aur zamanay ka aik dhab
Teri har ada main wohi ghazab
Magar aiy haseena nazneen mujhe tujh se koi gila nahin
Teri berukhi bhi qabool hai
keh yeh apne dil ka usool hai
Tu nigah-i-shauq ki bhool hai
Tera aitebaar fazool hai
Magar aiy haseena nazneen mujhe tujh se koi gila nahin
Tera husn fitna-i-deher hai
Tera rang aag ki leher hai
Teri ankhriyon main woh zeher hai
jo bala hai zulm hai qeher hai
Magar aiy haseena nazneen mujhe tujh se koi gila nahin
Tera husn mehv-i-jafa sahi
Yeh jafa bhi teri ada sahi
Yeh ada wafa ka sila sahi
Yeh sila hi meri qaza sahi
Magar aiy haseen nazneen mujhe tujh se koi gila nahin
<br />
<br />
Thanks to Husnain Lotia