Tajdar-e-Haram
Your rating:
Lyrics by: Famous Sufi Poet, Purnam Allahabadi Kismat mein meri chain se jeena likhde Doobe na kabhi mera safeena likh de Jannat bhi ganwara hai, magar mere liye Aye kaatib-e-taqdeer, bass madina likhde Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam Hum ghareebon ke din bhi sanwarjayenge Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam Chashm-e-rahmat-ba-khusha soohe-malandaz nazar Aye quraishi-la-kabi hasmhi-o-muttalabi Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam Ya Rasool Allah Ba-elwale Kharab E Mabqi??? Roo Bakha Pukhta Dam Azsharm E Isya Bar Zameen Muzna Becho Mun Na Bashad Dar Tamami Ummatad Rehm Kun Ber Halima Ya Rehmat Allil Alameen tori deed mein sud bud sub pisri kab tak ye rahegi bekhabari Zehaal-e-miskeen makun taghaful, Duraye naina banaye batiyan Ke taab-e-hijran nadaram ay jaan, Na leho kahe lagaye chatiyan. Cho shama sozan cho zaraa hairan, Hamesha giryan be ishq an meh. Na nind naina na ang chaina, Na aap aaven na bhejen patiyan, tori deed mein sud bud sub pisri kab tak ye rahegi bekhabari jo jaane walay madine ke hein sunein woh zara shah e madina se itna zaroor keh dena ke aik zakhmi e teer e nigeh nazar jo para tarap tarap ke wo kehta tha ya Rasool Allah tori deed mein sud bud sub pisri kab tak ye rahegi bekhabari Daah e ka pigan duzi da nazar kabhi sun bhe to lo humri battiyan Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam Kehna! saba huzoor se, kehta hai ek ghulam Bass ek nazar ho, ek nazar ka sawaal hai Ya Mustafa Ya Mujtaba Irham Lana Irham Lana Ya Mustafa Ya syed ya mustafa ya syed Mutaharoon, Munawaroon Fil Bait e WalHaram Ya Tayyab.....Allah Ya Tayyab.....Allah Ya Mustafa......Ya syed Ya mustafa......Ya Syed Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah Phir gudriyon ko laal de, jaan paththaron mein daal de Haavi ho mustaqbil pe hum, maazi sa humko haal de Daawa hai teri chaah ka, is ummat-e-gumraah ka Tere siva koi nahi, ya rahmat-al-lil-alameen Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah Ya mustafa salleAlah, Ya mustafa salleAlah Ya mustafa, ya mujtaba, eraham-lana, eraham-lana Dast-e-hama, bechara ra Daama tuhi, pursa tuhi Mann aasiyam, Mann ajizam Mann bekasam, Haal-e-mara Ya shafaye, roz-e-jazaa Pursa tuhi, pursa tuhi Aye mushtub-e-zambar fishaan Paike naseem-e-sub haram Aye charagar insanafas Aye musliheh beemar-e-gham Aye qaasid-e-parkhundapaye Tujhko usi gul ki kasam Ibnil tayari has saba Yauman ila-ar-dil-haram Ballib salami roza tann Fi-han nabi-al-mohtaram Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam Hum ghareebon ke din bhi sanwarjayenge Haami-e-bekasaan kya kahega jahan Aapke darr se khaali agar jayenge Koi apna nahi gham ke maaray hain hum Aapke darr pe faryaad laaye hain hum Ho Nigah-e-karam, warna chokhat pe hum Aapka naam le le ke marjayenge Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam Maikashon aao aao madine chalen Aao madine chalen, chalo madine chalen Aao madine chalen, Isi mahine chalen Aao madine chalen, Haj ke mahine chalen Dukh ranj-o-alam sab chhat-te hain Hasnain ke sadke batt-te hain Madine chalen, aao madine chalen Chalo madine chalen, aao madine chalen Tajalliyon ki ajab hai fazaa madine mein Nigah-e-shauk ki hai inteha madine mein Gham-e-hayat na khauf-e-khazaa madine mein Namaz-e-ishq karenge adaa madine mein Idhar udhar na bhatakte phiro khuda ke liye Barah-e-raas hai raahe-e-khuda madine mein Madine chalen, aao Madine chalen Isi mahine chalen, chalo madine chalen Maikashon aao aao madine chalen Dast-e-saaqiy-e-kausar se peene chalen Yaad rakho agar, uthgayi ek nazar Jitne khaali hai sabb jaam bharjayenge Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam Khof-e-toofan hai, bijliyon ka hai darr Sakht mushkil hai aaqa kidhar jayen hum Ap hi na garr na lenge, hamari khabar Hum musibat ke maaray kidhar jayenge Aapke darr se na koi khaali gaya Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya Ho habeeb-e-hazin par bhi aaqa nazar Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam Tajdar-e-Haram Thanks to muhammad iqbal mughal for correcting these lyrics Thanks to akhter for correcting these lyrics Thanks to Talha Taj for correcting these lyrics Thanks to shubham singh for correcting these lyrics Thanks to Zain for correcting these lyrics Thanks to S for correcting these lyrics Thanks to Muhammad Bilal Khawaja for correcting these lyrics
Share your thoughts
8 comments
Anonymous
Sunday 5th of May 2013 23:00
This was the best the Sabri Bro did in their life in my opionion, hats off to them. It makes u relax
Anonymous
Monday 28th of January 2013 06:34
i love thiss....
Anonymous
Monday 21st of January 2013 10:35
I LOVE IT TOO. BUT THIS IS NOT NAAT ... IT IS QAWALI
Anonymous
Sunday 9th of December 2012 11:14
i love this naat!
Anonymous
Sunday 9th of December 2012 11:13
its a very beautiful naat......mashallah
Anonymous
Thursday 9th of August 2012 23:38
Lovely Naat by sajid qadri Listen on YouTube --- taadj Dar E Haram sajid qadri 2012!
Anonymous
Thursday 9th of August 2012 23:34
Lovely naat
Anonymous
Tuesday 24th of April 2012 08:37
subhan allah