Noori

Noori - Nishaan (Demo version) lyrics

rate me

Raatoon Ke Andheroon main jab

Khamoshi galiyon main ghumain

saye bhi tumse kuch keh deinge

Rahoon ke kantoon pe chal ke

dur andheroon se nikal ke

rung sub apne badal ke

agaye ho phir yahan

ho gaye ho aashna

roshni ke des main

tum bhi dekho ge kahin jalweyyy

Dhondo ke sitarey to zamana tumhey dekhe ga

ake tumharey yun zindagi se khele ga

Jalo ge zamanay ke jo sang tum chalo ge

Tum so na pao ge, doob jao ge

Likho jo naee daastan

Mitain gay naheen phir nishaan

Bhoolay se bhi woh na jaagain

Sayay se apnay woh bhagain

Jal nahin paein gay phir diyay

Dur anjaani iss dagar pe

Ek andheri rahguzar pe

Aas ki kirnon se dar ke…

Chal diyay ho tum kahan?

Dhoondtay kiss kay nishaan?

Shor ke bazaar mein

Hosh na ayay kabhi phir tumhein

Dhoondo ge sitaray to zamana tumhey dekhay ga

Aa ke tumharee yeh zindagee se khelay ga

Jalo ge zamanay ke jo sang tum chalo ge

Tum so na pao ge, doob jao ge

Bhula do yeh saara jahaan

Likho ek naee daastan

Mitain gay naheen phir nishaan

Dhoonda hai sitaron ko, zamanay ko bhi dekhain gay

Aa ke tumharee hum zindagee se khelain gay

Likhi hai apnee zindagi ki daastan

Mitay ga naheen phir nishaan

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found