Nayyara Noor

Nayyara Noor - Aaye Arz Guzarain

rate me

Aaiye arz guzarain ke nigar-e-hasti

Zehr-e-imrooz mein sheereeni-e-farda bhar de

woh jinhen tab-e-garan-bari-e-ayyaam naheen

unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de

jinki ankhon ko rukh-e subho ka yaara bhi naheen

unki raton mein koi shammein munnavar kar de

jinke qadmon ko kisi rah ka sahara bhi naheen

unki nazron pe koi rah ujagar kar de

jinka deen pairvi-e-kizb-o-ria hai un ko

himmat-e-kufr mile jura't-e-tehqeeq mile

jin ke sar muntazir-e-tegh-e-jafa hein unko

dast-e-qatil ko jhatak daynay ki taufeeq milay

Ishq ka sirr-e-nihan' jan-tapa hay jiss say

Aaj iqraar karain' aur tapish mit jaye

Harf-e-haq dil main khatakta hay jo kantay ki tarah

Aaj I=izhaar karain' aur khalish mit jaye

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found