Najam Sheraz - Naat (Najam Sheraz) lyrics
rate mena tera Khuda koi aur hai
na mera Khuda koi aur hai
yeh jo raaste hain juda juda
yeh mamla koi aur hai
kyoun nahin dekhta is jahan mein
har shai la mehedud hai
jab uthi nigah to jhuk gayi
yeh mamla kuch aur hai
Allah Allah Allah...
yeh pahaar, darakht aur qainaat
sab jhuke huwe hain sajood me
na tu ban saka na bana saka
woh phir bhi na tujh se juda hua
yeh sabh usi ke hain faisle
tu jaan kar bhi anjaan hai
na tera Khuda koi aur hai
na mera Khuda koi aur hai
yeh jo raaste hain juda juda
yeh mamla koi aur hai
kyoun shirk mein hai phasa hua
kyoun noor se tu door hai
Allah Allah Allah
kyoun shirk mein hai tu phasa hua
kyoun noor se tu door hai
kyoun ghoomta hai
yahan wahan
nahin ila koi aur hai
na tera Khuda koi aur hai
na mera Khuda koi aur hai
yeh jo raaste hain juda juda
yeh mamla koi aur hai
jise dhoondhta hai yahan wahan
dil mein tere maujood hai
Allah Allah Allah
jise dhoondhta hai yahan wahan
dil mein tere maujood hai
jise mil gaya ek baar woh
usi dil mein asr-e-sajood hai
na tera Khuda koi aur hai
na mera Khuda koi aur hai
yeh jo raaste hain juda juda
yeh mamla koi aur hai
jo parhadiya insaan ko
rehman hai raheem hai
Allah Allah Allah
jo parhadiya insaan ko
rehman hai raheem hai
jab paas thi toh kitaab thi
parhaadiya toh Quran hai
na tera Khuda koi aur hai
na mera Khuda koi aur hai
yeh jo raaste hain juda juda
yeh mamla koi aur hai
phir ibaadaton ke hain silsile
phir kurbaton ke wo daur hain
Allah Allah Allah
phir ibaadaton ke hain silsile
phir kurbaton ke woh daur hain
jo na jhuk saka woh na paa saka
yehi silsila har daur hai
na tera Khuda koi aur hai
na mera Khuda koi aur hai
yeh jo raaste hain juda juda
yeh mamla koi aur hai
Tu kyoun poojta hai insaan ko
Allah hi toh mabood hai
Allah Allah Allah
Tu kyoun poojta hai insaan ko
Allah hi toh mabood hai
phir kyoun hai tu gharoor mein
jo na jhuk saka toh firon hai
na tera Khuda koi aur hai
na mera Khuda koi aur hai
yeh jo raaste hain juda juda
yeh mamla koi aur hai
Ik baar tu phir sochle
ik baar tu phir sochle
wohi Rab-e-al shekareem hai
Allah Allah Allah
ik baar tu phir sochle
wohi Rab-e- arsh-e-kareem hai
jo na jhuk saka woh mit gaya
yehi silsila har daur hai
na tera Khuda koi aur hai
na mera Khuda koi aur hai
yeh jo raaste hain juda juda
yeh mamla koi aur hai
Ya Rab mujhe tu baksh de
Ya Rab mujhe tu baksh de
Ya Rab mujhe tu baksh de
Ya Rab mujhe tu baksh de
Ya Rab mujhe tu baksh de
banda toh gunahgar hai
Allah Allah Allah
is aas par para houn mein
sajde me Rabe Kareem ke
jo main gir gaya tha mukaam se
tu to Rab-e-Aali mukaam hai
Allah Allah Allah
Rabana Maghfirullana
Rabana Maghfirullana
Thanks to arubahz2 for correcting these lyrics