MUKESH

MUKESH - Jisaka Juuta Usi Ka Sar ... Vaah Re Vaah Teri Bambayi lyrics

rate me

jisaka juuta usi ka sar dil hai chhota bada shahar

are vaah re vaah teri bambayi

khaaya dhokha gaye jidhar dekho qismat phere kidhar

are vaah re vaah teri bambayi

aa ke yahaan kya mil gaya jeb kati aur dil gaya

rang tere is shahar ke dekh kaleja hil gaya

maal na sahi jaan to bachi bhaag bhaag mistar

jisaka juuta usi

mem phire kis aan se saath hai kutta shaan se

jaanavar se to pyaar hai pyaar nahin insaan se

dekh naazanin ham bhi hain hasin itana naaz na kar

jisaka juuta usi

paas mein motar kaar ho baink mein tis hazaar hon

pyaar yahaan tab kijiye maal ye jab sarakaar ho

na to suut hai na buut hai dekh pyaar se dar

jisaka juuta usi

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found