MOHAMMAD RAFI, LATA MANGESHKAR - Prit Ke Bandhan Mein lyrics
rate meprit ke bandhan mein
un par kaun kare ji vishvaas - 2
kiye bhanvaron ka bhes phire kaliyon ke des
kare rasiya jo ghar-ghar vilaas
un par kaun kare
o ye to jug-jug ki hai pyaas - 2
jise bhanvara bujhaaye kali-kali paas aaye
kare puuri adhuuri jo aas
ye to jug-jug ki
ras ke lobhi chain na paayein ulate apani pyaas badhaayein
ik pyaali se jo prit lagaayein janam-janam ki pyaas bujhaayein
jaise dharati aur aakaash o jaise dharati aur aakaash
jab donon mile to saari srishti hile
chhaaye patajhad mein bhi madhumaas
un par kaun kare
suuraj hai ek usaki kiranein hazaar hain
sarajan haara hai use kan-kan se pyaar hai
bandhan mein prit ke kab vo laachaar hai
vo kamalini ke man ka singaar hai kare ghar-ghar mein vo prakaash - 2
usaka hriday vishaal usamein navayug ki jvaal
nav-jivan bhari usaki shvaans
ye to jug-jug ki