Masood Khan - Aae Mere Humnashin Chal lyrics
rate meAae mere humnasheen chal kahin aur chal
iss chaman mein abb apna guzaara nahi
bat hoti gulon tak to seh lete hum
abb to kaanton pe bhi hug humaara nahi
Aae mere humnasheen chal kahin aur chal
dil ko behlaayein kaisay shub e hijar mein
dil behalnay ka koi sahaara nahi
chaand bhi chup gaya raat bhi dhal gayi
aasman pe bhi koi sitaara nahi
Aae mere humnasheen chal kahin aur chal
jaanay kis ki lagan kis ki dhunn mein magan
jaa rahay thay kahan murr ke dekha nahi
hum ne awaaz par tum ko awaaz di
tum yeh kehte ho hum ne pukaara nahi
Aae mere humnasheen chal kahin aur chal
mera zoq e nazar aazma lijiye
gar ho bijli giraana gira lijiye
mein bhi ghar se chala hoon yehi soch ke
aaj nazrain nahi ya nazaara nahi
Aae mere humnasheen chal kahin aur chal
jub gulistaan ko khoon ki zaroorat parri
sub se pehlay humaari hee gardan katti
phir bhi kehte hain hum se yeh ehl e chaman
yeh chaman hai humara tumhaara nahi
Aae mere humnasheen chal kahin aur chal
iss chaman mein abb apna guzaara nahi
bat hoti gulon tak to seh lete hum
abb to kaanton pe bhi hug humaara nahi