LATA MANGESHKAR

LATA MANGESHKAR - Tumehn Dil Diya lyrics

rate me

tumhen dil diya

ye kya kiya main ne -2

duniya ka dard le liya main ne

tumhen dil diya

ye kya kiya main ne

duniya ka dard le liya main ne

kya bhale din the vo -2

nazaron mein tum samaaye na the

kabhi bhari thandi saans nahi thi

aur aankhon mein aansu aaye na the

ab roti hoon main -2

kya kiya haay! kya kiya main ne

tumhen dil diya ...

ab haal ye ho gaye hamaare -2

sada bheege rahe nainon ke kinaare

o jaanevaale main pukaaruun tu ek baar to a -2

mere rote hue dil ko ye baat bata

bhala kiya ya bura kiya

haay! bura kiya main ne

tumhen dil diya ...

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found