LATA MANGESHKAR

LATA MANGESHKAR - Kya Kya Na Log Chal Base lyrics

rate me

kya kya na log chal base - 2

shauq-e-jamaal-e-yaar mein

hamase hazaaron mit gaye - 2

haalat-e-intezaar mein

puuri tarah khile na phuul

rah gayi dil mein hasaratein - 2

baag hi saara jal gaya - 2

aag lagi bahaar mein

kya kya na log

phiki padi hai chaandani

taare bhi jhilamilaate hain - 2

sab hain nazar mein beqaraar - 2

dil jo nahin qaraar mein

kya kya na log

mit bhi gaye to kya hua

maut hai ek zindagi - 2

ek naam aur badh gaya - 2

duniya ki yaadagaar mein

kya kya na log

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found