LATA MANGESHKAR, MOHD AZIZ - Khat Likhna Hai Par Sochti hoon lyrics
rate mela: khat likhnaa hai par sochti hoon -2
ye kaise likhoon
mujhe tumse mohabbat ho gayee hai -2
a: meri maano, itnaa likh do -2
in aankhon par
Khvaabon ki inaayat ho gayee hai -2
la: kaagaz kalam jaise hi uthaaoon
dil hai ke dhadake jaaye
haan aa aa, dil hai ke dhadake jaaye
a: jo bhi likho tum dil ki baaten
ab na chhupengi chhupaaye
haan aa aa, ab na chhupengi chhupaaye
la: main achchhi hoon, ye to likh doon -2
ye kaise likhoon
mujhe tumse mohabbat ho gayee hai -2
la: ye sochaa hai, itnaa likh doon
kuchh din se mujhe kyaa jaane kyun
ye duniyaa hasin lagti hai -2
a: ye bhi likhnaa, ab saare din hai saath koi ke jiske bin
tabiyat hi nahin lagti hai -2
la: bataao.., bataao..
in lafzon mein main hi likhoon, mujhko tum samjhaao
mujhe tumse mohabbat ho gayee hai -2
main kuchh likhoon, vo kuchh samjhe
aisaa nahin ho jaaye
haan aa aa, aisaa nahin ho jaaye
a: aisaa hai to saaf likho tum
apni to hai ye raay
haan aa aa apni to hai ye raay
la: haan sach to hai, kyun sharmaaoon -2
kyun ye na likhoon
mujhe tumse mohabbat ho gayee hai
a: to likh to mohabbat ho gayee hai
la: likh doongi mohabbat ho gayee hai
a: mujhe tumse mohabbat ho gayee hai
la: mujhe tumse mohabbat ho gayee hai