KISHORE KUMAR

KISHORE KUMAR - Tu Chand Nagar Ki Shehazadi lyrics

rate me

Tu chand nagar ki shehzadi, main iss dharti ka banjara,

Tu mehlon me rehnewali, main galiyon galiyon awara

Main ik hawa ka jhonka to phool hai,

Itna tujhko chahoon, fazool hai,

Main aaj yahan aur kal houn wahan, tujhe apna gulshan hi pyara,

Tu mehlon mein rehnewali, main galiyon galiyon awara

Tera mera do pal ka saath hai,

Sach hai ye sab kismat ki baat hai,

Har dil me yahan tu hai mehmaan, main beghar bedar bechara,

Tu mehlon mein rehnewali, main galiyon galiyon awara

Labna hi le to ankhon se kaam le,

Janewali mera salaam le,

Mere pichle janam ke bhale the karam, to miljaounga do bara,

Tu mehlon mein rehnewali, main galiyon galiyon awara

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found