Main Aaya Hu

Your rating:
main aaya hoon, leke saaz hathon mein 
mehfil ki mastaani, ho mastaani raaton mein in in in in 
main aaya hoon 

todake dilon ko main ye kaam kar raha hoon 
haan main mohabbat ko naye andaaz de raha hoon 
baskar sabki aankhon mein, in dilkash mulaakaaton mein 
main aaya hoon 

shokh haseenon ko main aavaaz de raha hoon 
haan naam javani ka main badnaam kar raha hoon 
hanskar baaton baaton mein, nagamon ki baaraaton mein 
main aaya hoon 

geet mere sunkar, naujavaan jaag uthe hain 
haan neend nahi aati, kai aramaan jaag uthe hai 
thaam ke dil ko hathon mein, jalate hain barasaton mein 
main aaya hoon 

main aaya hoon , leke saaz hathon mein 
mehfil ki mastaani , ho mastaani raaton mein in in in in
Get 'Main Aaya Hu' at: amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

No comments here yet... Be the first to give your opinion!