KISHORE KUMAR - Kahe Paise Pe Itna lyrics
rate meChaar paise kya mile
Kya mile bhai kya mile
Khud ko samajh baithe khuda
Woh khuda hi jaane ab hoga tera anjaam kya
Kahe paise pe
Kahe paise pe itna guroor kare hain
Kahe paise pe itna guroor kare hain
Yehi paisa to
Yehi paisa to apno se door kare hain
Door kare hain
Kahe paise pe itna guroor kare hain
Guroor kare hain
Sone chaandi ke
Unche mehalo mein
Dard zyada hai, chain thoda hai
Dard zyada hai, chain thoda hai
Is zamane mein, paise walon ne
Pyaar cheena hai, dil ko toda hai
Pyaar cheena hai, dil ko toda hai
Paise ki ehmiyat ko inkaar nahi hai
Paisa hi magar sab kuch sarkaar nahi hai
In ka insaan hai, paisa paisa hai
Dil humara bhi tere jaisa hai
Hai bhala paisa to bura bhi hai
Yeh zeher bhi hai, yeh nasha bhi hai
Yeh zeher bhi hai, yeh nasha bhi hai
Yeh nasha koyi
Yeh nasha koyi dhoka zuroor kare hain
Yehi paisa to haan
Yehi paisa to apno se door kare hain
Door kare hain
Kahe paise pe itna guroor kare hain
Guroor kare hain
Arre chale kahan
Yeh paison se kya kya tum yahan khreedoge
Dil khreedoge ya ke jaan khreedoge
Bazaaron mein pyaar kahan bikta hai
Dukaanon pe yaar kahan bikta hai
Phool bik jaate hai
Khushboo bikti nahi
Jism bik jaate hain
Rooh bikti nahi
Chain bikta nahi
Khwaab bikte nahi
Dil ke armaan betaab bikte nahi
Arre paise se kya kya tum yahan khreedoge
Dil khreedoge ya ke jaan khreedoge
Yeh in hawaon ka mol
Kya doge
Un ghataon ka mol
Kya doge
Arre in zameenon ka mol ho shayad
Aasmanon ka mol, kya doge
Yeh in hawaon ka mol
Kya doge
Un ghataon ka mol
Kya doge
Arre in zameenon ka mol ho shayad
Aasmanon ka mol, kya doge
Paas paisa hai to hai yeh duniya haseen
Duniya haseen
Ho zaroorat se zyada to iman-o-yaqeen
Iman-o-yaqeen
Yeh dimago mein
Yeh dimaago mein kasoor kare hain
Yehi paisa to
Yehi paisa to apno se door kare hain
Door kare hain
Kahe paise pe itna guroor kare hain
Guroor kare hain
Posted By : Mastani Laila