KISHORE KUMAR, LATA MANGESHKAR - Zindagi Anmol lyrics
rate mezindagi anmol
zindagi ki pehli jaroorat hai kya, ek pyar tera
pyar se bhi tumko pyara hai kya, intezaar tera
duniya ke gamon ka ilaaj hai kya, deedar tera
zindagi anmol
zindagi ki pehli jaroorat hai kya, ek pyar tera
mujh gareeb ko kam naseeb ko tumne itna pyar diya
kaise karz utaru uska tumne jo upkaar kiya
tumne labon ki laali bhar ke rang nikhar diya hain
pyar ka badla deke pyar sansar sanwar diya hain
pran do ek hue karz ka kya sawal, zindagi anmol
zindagi ke sapnon ki manzil hai kya, ek dwaar tera
imaan ki kitaabon se badhkar hai kya, ikarar tera
maseeha se bhi achha hoga na kaun, beemar tera
zindagi anmol
zindagi ki pehli jaroorat hai kya, ek pyar tera
tum mujhko devo se badhkar bin maange vardaan diye
karz na jinka chuka saku main tune woh ehsaan kiye
main toh farishta nahi koi insaan tumhare jaisa
sukh dukh ke dono saathi ehsaan kispar kaisa
jo mera woh tera karz ki baat kya, zindagi anmol
zindagi ki sabse badi daulat hai kya, upahaar tera
saare hi nazaron se pyara hai kya, singhaar tera
duniya mein jeene ki surat hai kya, aaitbaar tera
zindagi anmol