KISHORE KUMAR, LATA MANGESHKAR

KISHORE KUMAR, LATA MANGESHKAR - Jaaneman Tum Kamaal Karti Ho lyrics

rate me

k : aaj ham ishq ka izahaar kare to kya ho?

l : jaan pehchaan se inkaar kare to kya ho?

k : bhari mehfil mein tumhe pyar kare to kyaa ho?

l : koshishe aap ki betaar kare to kya ho?

k : kehte darati ho dil mein maarti ho

jaaneman tum kamaal karti ho

kehte darati ho dil mein maratii ho

jaaneman tum kamaal karti ho

k : aankhon aankhon mein muskurati ho

baato baato mein dil lubhati ho

narm saanso ki garm leharo se

dil ke taaro ko gudgudati ho

arre in sab baato ka matlab puchhe to

rang chehare ka laal karti ho

jaaneman tum kamaal karti ho

l : chup bhi rahiye ye kya qayamat hai

aap ki bhi ajib aadat hai

itna hungama kisliye aakhir

pyaar hai yaa koi musibat hai

jab bhi miltey ho jaane tum kya-kya

ulte-sidhe savaal karte ho

jaaneman tum kamaal karti ho

k : mastiyaan si fazaan pe chhaayi hain

vaadiyaan rang mein nahaai hain

l : narm-sabz-ped shokh phulon ne

makhmali chhaadaren bichhaayii hain

k : aah, chhodo sharamaanaa aise mausam me

tabiyat kyon nihaal karti ho

ho! jaaneman tum kamaal karti ho

l : jab bhi milte ho jaane tum kya-kya

ulte-sidhe savaal karate ho

jaaneman tum kamaal karte ho

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found