Khalil Haider

Khalil Haider - Rah-e-Wafa Mein Har Dukh lyrics

rate me

rah-e-wafa main har dukh sehna sub ke bas ki bat nahin

pathar se shesha takrana sub ke bas ki bat nahin

khoon-e jigar se seench ke pehle gulshan ki dali dali

phir kantoon per hans kar chalna sub ke bus ki bat nahin

rah-e-wafa main har dukh sehna sub ke bas ki bat nahin

yoon sehne ko sub sehte hain sooraj ki garmi lekin

tanhaee ki aag main jalna sub ke bas ki bat nahin

rah-e-wafa main har dukh sehna sub ke bas ki bat nahin

tum kiya samjhoo tum kiya jano dagh-e judaee ko ISHRAT

dard kisi ka dil main chupana sub ke bas ki bat nahin

rah-e-wafa main har dukh sehna sub ke bas ki bat nahin

rah-e-wafa main har dukh sehna sub ke bas ki bat nahin

pathar se shesha takrana sub ke bas ki bat nahin

rah-e-wafa main har dukh sehna sub ke bas ki bat nahin

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found