Junoon

Junoon - Dharti Ke Khuda lyrics

rate me

Tum ne bhi suni yahan kahi gayi kaisi kaisi baatein

Tum ne bhi sune yahan kiye gaye kaise kaise waade

Jhooti thi sabhi yahan kahi gayi khushion ki wo baatein

Jhoote the sabhi yahan kiye gaye logon se jo waade

Dharti ke Khuda bante hai yahan

In ko bhi zara koyi de sazaa

Mohron ki tara kabhi laga rahe hote hein wo humko

Shamon ki tara kabhi jala rahe hote hein wo humko

Paani ki tara kabhi baha rahe hote hein wo humko

Lamhon ki tarah kabhi gawa rahe hote hein wo humko

Dharti ke Khuda bante hai yahan

In ko bhi zara koyi de sazaa

Woh sitamgar hain unhe kyaa jiyeen ya marhein

Ho sitam jo bhi usse hum gawara karein

Woh yahi chahein ke dam hum unhi ka bharein

Hum jhukein aagay unhi ke unhi se darrein

Raate hein sabhi yahan kabhi nahin jayenge woh jaise

Katte hain jawan koi saza nahin paayenge woh jaise

Un se ye kaho yahan chale gaye kaise kaise aake

Dharti ke Khuda bante hai yahan

In ko bhi zara koyi de sazaa

Dharti ke Khuda bante hai yahan

In ko bhi zara koyi de sazaa

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found