Iqbal Bano

Iqbal Bano - Mare Dil Mare Musafir lyrics

rate me

Meray dil, meray musafir

Hua phir say hukm sadir

Kay watan badr hoon, hum tum

Dain gali gali sadaein

Karein rukh nagar nagar ka,

Kay suragh koi paein

Kisi yaar namabar ka

Har ek ajnabi say poochain

Jo pata tha apnay ghar ka

Sar-e-kooay na-shanaasa

Humain din say raat karna

Kabhi is say baat karna

Kabhi us say baat karna

Tumhain kya kahoon kay kya hai

Shab-e-gham buri bala hai

Humain yeh bhi tha ghaneemat

jo koi shumaar hota

Humain kya bura tha marna

agar aik baar hota

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found