Habib Wali Mohammed - Ratein Thi Chandni lyrics
rate meraatein thii chandani
joban pe thii bahaar
raatein thii chandani
joban pe thii bahaar
baaghon mein phuul jhum rahe the khushii ke saath
hanstaa thaa paat paat
itane mein ek bhanvare ki pyaasii nigaah ne
dekhaa jo duur se
ek phuul jhum jhum ke hanstaa thaa baar baar
joban pe thii bahaar
raatein thii chandani
joban pe thii bahaar
urta huaa machaltaa huaa aa gayaa vahaan
phuulon ke aas paas
kuchh geet gungunaake sunaane lagaa use
ulfat ke pyaar ke
dekhaa jo chaand ne ye tamaashaa to tarap gayaa
baadal mein chup gayaa
bhanvare kaa pyaar dekh kar sharmaa gayaa gulaab
sar ko jhukaa liyaa
phuulon kii is adaa pe use pyaar aa gayaa
bhanvare ne barh ke phuul ko dil se lagaa liyaa
bhanvare ne barh ke phuul ko dil se lagaa liyaa
joban pe thii bahaar
raatein thii chandani
joban pe thii bahaar
ik roz kyaa huaa Khamosh thii fizaa
thay aasmaan pe chaand na taare na chaandni
yani ki dopahar
bhavare ki narm goad mein soyaa huaa thaa phuul
duniyaa se beKhabar
bhanvara churaa ke aankh nihaayat safayee se
haule se uth gayaa
phuulon mein jitna ras thaa wo chorii se pii gayaa
chupke se urh gayaa
angrayee leke phuul uthaa jab hava chalii
dekhaa to us kii mast javanii thii luut chukii
joban pe thii bahaar
raatein thii chandani
joban pe thii bahaar
pehle to is sitam se vo hairaan ho gayaa
sadme se ro diyaa
phir paagalon kii tarah pareshaan ho gayaa
bejaan ho gayaa
yuun phuul ko jo dekhaa to siski havaa ne lii
har pati kaamp uthi
taare se ye na dekhaa gayaa aankh muund lii
shabanam bhi ro pari
abhii chaman mein aatii hai phuulon pe jab bahaar
naghmon mein apnay qisa sunaatii hai ye hazaar
joban pe thii bahaar
raatein thii chandani
joban pe thii bahaar