Anandmurti Gurumaa - Ishq ka khanjar lyrics
rate meRumi ke shabda dilo par raaz karte hain
Rumi ke shabda veh sheesha hain,
jo sab raaz dikha dete hain
Deh or rooh se pare dodh jata hai koi
jab sunta hai Rumi ko
Jo khoji hai woh jaan lega, sab rehasyon ko
ruhaaniyat ke, insaaniyat ke, mohabbat ke, akiddat ke
Purit ho jayenge vah, jo sunenge saar is prem ka
ki jiske aansu bahe the, Shams-e-Tabriz ki mohabbat mein
ki jiske paanv thirak gaye the, allah ki yaad mein
Aise Rumi ke shabda, agar dilo mein romanch na uthaein
to ek hi baat ho sakti hai
ki phir tumhare seene mein dil nahi hai
Mein tumhe apni kahaani kehne ja rahaa tha
par dard ki lehron mein, meri aawaz doob gayi
Maine prayaas kiya shabda kehne ka,
par mere vichaar, nazuk ho, sheeshe ki tarahn toot gaye
Bada jahaaz bhi doob sakta hai,
prem ke sagar mein uthe bavandar se,
meri kamzor si kishti ko to chodo
jo toot kar tukdon mein badal gayi
or mujhe choda sirf ek lakdi ke tukde ke sahaare
mein nanha shaktiheen uthta swarg ki or,
prem ki ek lehar se aur girta doosri se
Mujhe yeh bhi nahin pata,
ki mein hoon bhi ki nahin
jab sochta hoon ki main hoon,
mein swayam ko be-arth dikhta hoon
jab sochta hoon ki mein nahin hoon
to apni keemat pata hoon
Mere vicharon ki tarhaan
kabhi marta, kabhi uthta hoon har din
to mein punar janam par shanka kaise karoon
thak gayaa hoon,
thak gayaa hoon, jag mein prem ki talash karte hue
anteteh: kar diya samarpan, prem ki vaadi mein
aur ho gaya,
aur ho gaya aazad
Maro, maro is prem mein
aur utho, aatma mein
maro, maro, aur kaato 'aham' ki rassi
jo tumhein kaid mein rakhti hai
hathoda le kar chalo deewar ke paas
tod kar raah banaao baahar ki
Maro, maro us khoobsurat badshah ke aage
ki tum bhi shaktishali ho sako
Maro, maro, aur utho, is baadal mein se
tum chamkoge sundartam chand ki tarhan
Maun raho, maun raho,
ki maun chinh hai mrityu ka
aur tumhare maun se,
jeewan shor karega, shehnayi se bhi zyada
Aao mere satguru
aao, mat door jao mujhse
aao mere dhokhebaaz chand
dekho is tadapte, taraste premi ko
aao mere sharabi shehanshah
tum mera jeewan ho,
meri akla, mera sab kuch ho
Meri kaali raaton ke chamakte chand bano
mein pyasa hoon teri roshni ka
mere hathon ka karo upyo
dekho meri ankhon se
suno mere kaano se
tum aatma ho har jeevit prani ki
Aao, aao nachte hue surya ki rashmi ki tarahn
aur door karo parchaiyon ko
tum naye jagat ke dhwaj ho
aur man hai tumhare charno mein
laut kar aao mere prem
mera toota hridai, aur prem peeda ko seh na sakega
aur vaide nahin
maine bahot ratein guzar di neend ke bagair
mere maun dukh ki
meri thaki akla ki
aao mere khazaane
mere jeewan praan
aao, aur mere zakhmon ko bharo
aur, bano dawaa
shabda bahot hue,
aao ab bina ek shabda kahe................
<br />
<br />
Thanks to Ashish