Abrar ul Haq - Sar Utha Kar lyrics
rate meSar Utha kar shahar mai chalney ka mausam aa gaya
Aaao ke mausam badal deney ka mausam aa gaya
Aao zara
Dosto aao zara
Dho raha thaa kal jisey apney phatey kortey ke saath
Dho raha thaa kal jisey apney phatey kortey ke saath
Aaj woh bacha usee gaari ke neeche aa gaya
Socho zara
Dosto aao zara
Aao jharoo cheen lein inn nanney haathon se ke abb
Haath mai inn ke qalam deney ka mausam aa gaya
Kab talak kaaghaz chunain gey koochon ke gandey dher se
Konplon ke phool mei phalne ka mausam aa gaya
Aao zara
Socho zara
Ghair Muslim ho ke Muslim sab ka apna ghar hai ye
Sab ne jeena bhi hai marna bhi hai iss aaghosh mai
Woh jo nafrat daaltey hai inn dilon mai jaan lein
Woh jo nafrat daaltey hai inn dilon mai jaan lein
Unn saron ki fasl jhukney ka mausam aa gaya
Aao zara
Dosto aao zara
Maan hai, beti hai, bahoo hai, behan hai, biwi hai ye
Aaj ye khush rang rishtey kyoon pareshan ho gaye
Jis se inn rishton mai qayem ho mohabbat ki fiza
Jis se inn rishton mai qayem ho mohabbat ki fiza
Aaj se woh pyaar barsaney ka mausam aa gaya
Aao zara
Dosto aao zara
Kya hamara farz hai khali tamasha dekhna
Kya hamei har waqt karna hai gila sarkaar se
Aao mil kar baant lei jurm e zareefi ki saza
Aur lei badlei mai hum laakhon karorron ki dua
Aao zara
Dosto socho zara
Sar Utha kar shahar mai chalney ka mausam aa gaya
Aaao ke mausam badal deney ka mausam aa gaya
Aao zara
Dosto aao zara