Fariha Pervaiz

Fariha Pervaiz - Aye Zindagi lyrics

rate me

aye zindagi...

mai dhoondo kahaan?

tujhey dhoondo kahaan?

nadia ki lehron main

apnon mai, ghairon main

pholoon mai, kalion main

sapnon ki galion main

titli k rango main

urti patangon main

khiltey gulabon main

behtey chanabon mai...

saat asmanon mai

saarey jahaanon mai

awaaz dai...

awaaz dai tu hai jahaan

aye zindagi... mai dhoondo kahaaan?

tujhey dhoondo kahaan?

dekha nahi hai

phir bhi teri

soorat bunti rehteen hoon...

dekha nahi hai phir bhi teri

soorat bunti rehteen hoon

teri aankhon ki

apney dil par

dastak sunti rehteen hoon

koyal ki koo koo mai

sandal ki khushboo main

badal k aanchal main

har lamha har pal main

gaoo k panghat pe

galion ki chaukat pe

barfeeli rahon mai

paidon ki bahon mai

saath asmanon mai

saarey jahaanon mai

awaaz dai...

awaaz dai tu hai jahaan

aye zindagi..mai dhoondo kahaan?

tujhey dhondoon kahaan?

pehley pyaar ki

aaj bhi yaadein mujh ko rolaney aati hein

pehley pyaar ki

aaj bhi yaadein mujh ko rolaney aati hein

bujhti raakh kuraid k phir sey

dard jagaaney aati hein

ashkon ki larion mai

sawan ki jharion mai

khamosh sagar mai

kohrey ki chadar mai

haathon ki lakeeron mai

ujri tasweeron mai

sulgey aangaron mai

hijr k maaron mai

saath asmanon mai

saarey jahaanon mai

awaaz dai...

awaaz dai tu hai jahaan

aye zindagi...

mai dhoondo kahaan?

tujhey dhoondo kahaan?

meethi meethi ye jo kasak hai

shayad pehla pyaar hai ye

meethi meethi ye jo kasak hai

shayad pehla pyaar hai ye

sanson mai jo anjani mehak hai

shayad pehla pyaar hai ye

is rus bharey mausam mai

sholon mai shabnam mai

chandani raaton mai

bheegi barsaton mai

nao mai paani mai

bhooli kahaani mai

papehe ki taanon mai

surr ki uraanon mai

saath asmanon mai

saarey jahaanon mai

awaaz dai..

awaaz dai tu hai kahaan

aye zindagi mai dhoondo kahaan?

tujhey dhoondo kahaan?

Thanks to Shoaib for correcting these lyrics

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

3 Comments found

Debashis
Sunday 8th of August 2021 07:02
Namaste Fariha ji.. Jindigi milna beshak khusnasibi hai.. par sahi mayne mein to aaj khushnasib aaj mehsoos kar raha hun… aapke is pyaaree geet aapke hi awaaz me soon kar … Pata nahin mere sadayaen aap tak pahunchenge ke nahin .. ????? You take care and always stay blessed ..
Anonymous
Monday 10th of June 2013 17:39
V. Nice poetry, aur Koyal jesi awaz
Anonymous
Saturday 12th of January 2013 17:49
it's very romantic music waw