CENSOR movie

CENSOR movie - Ho Aaj Mazhab Koi lyrics

rate me

Song By VINOD RATHOD, ROOP KUMAR RATHOD, KAVITA SUBRAMANIAM, VIJEYATA PANDIT

ho aaj mazhab koi ek aisaa naya

doston is jahaan mein chalaya jaaye

jisamein insaan insaan banke rahe aa

aur gulshan ko gulshan banaya jaaye

o aaj mazhab koi ...

aa jisase badhakar koi kitab nahin

are jiska milta koi jawab nahin

umr bhar chadh kar jo nahin utare

vo nasha hai magar sharab nahin

use pyaar zamaanaa kahataa hai

uska deewana rehta hai

ye aisaa hai rangeen nasha

ye jitna chadhe utna hi mazaa

hontho pe gulab yahi to hai

aankhon mein khwab yahi to hai

gaalon pe shabaab yahi to hai

ghunghat mein hizaab yahi to hai

honthon pe gulaab aankho mein khwaab

gaalon pe shabaab ghunghat mein hizaab

yahi to hai yahi to hai yahi to hai yahi to hai

isako paayaa miiraa ne isako hii gaayaa kabiiraa ne

o har ruuh ki aavaaz hai ye

sabase sundar saaz hai yeh

jis se roshan padosii kaa aangan rahe

vo diya har ghar mein jalaya jaaye

jisamein insaan...

aa ye chaav bhi hai aur dhup bhi hai

rup bhi hai aur anup bhi hai

ye shabnam bhi angaar bhi hai

ye megh bhi hai malhar bhi hai

are isamain duniya ki jawani hai

ye aag ke bhitar paani hai

ye ruh ka ek sarovar hai

qatare mein ek samandar hai

shaayar ka hasin tasavvur hai

sangeet ka ek svayamvar hai

ye sabko sab kuchh deta hai

aur badale mein badale mein badale mein

bas dil leta hai dil leta hai

dil dil dil dil dil leta hai

iska jo karam aaj ho jaaye

to ye mehfil bhi jannat si ho jaaye

jisamein insaan...

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found