Laree Choote
Your rating:
Dialogue: Woh kehte hai na jo hota hai acchey ke liye hota hai… Galat kehte hai Lyrics: Kismat ka khel hai saara Phirta tha main awaara Yeh kya se kya hogaya Chaar din ki zindagaani har pal ek nayi kahaani Kya tha main kya bangayaa Kya huwa jo laree chooti Jeevan ki gaadi luuti Khwab hai to mujhko na jaga Zindagi ek pal mein saali Yun palat gayi hamaari Jhuth hai to mujhko na bata Dialogue: Mumbai sunaa tha yahan aadmi puuri zindagi apni kismet slow track se fast track lane mein nikaal deta hai par dhai ghante mein yeh kisko pata tha aise slow track se fast track par aa jayegi yeh maine kabhi socha nahin tha Sazaa majaa ban jayegi yeh bhi kabhi socha nahin tha Last local kya chuuti saala kismet patri par aa gayi Lyrics: Karlo jo bhi karna hai hota hai jo hona hai Guzra do pal yeh phir na aayega Kya bura hai kya bhala hai Waqt hi shayad khuda hai Ho jaane do phir Dekha jaayega Kya huwa jo laree chooti Jeevan ki gaadi luuti Khwab hai to mujhko na jagaa Zindagi ek pal mein saali Yun palat gayi hamaari Jhuth hai to mujhko na bataa - 2 Dialogue: Woh kehte hai na jo hota hai acchey ke liye hota hai… Sahi kehte hai
Share your thoughts
No comments here yet... Be the first to give your opinion!