Aziz Mian

Aziz Mian - Barr do jholee meree, Ya Muhammad lyrics

rate me

Shah E Madina Suno, Iltija Khuda K Liyeah

Karam Ho Mujh Pe Habibi E Khuda Khuda K Liyeah

Huzoor Uncha E Ummed Ub To Khil Ja'ay

Tumharay Der Ka Gada Hoon To Bhi Tum He Ja'ay?

Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad

Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad

Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad

Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khali

Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi Hum Sub Ki

Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi Mohammad

Bhar Do Jholi Ata Ki Bhar Do Jholi

Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi

Tumhare Aastanay Say Zamana Kya Nahi Paata

Koi Bhi Dar Say Khaali Mangnay Wala Nahi Jata

Bhar Do Jholi Meri Sirkar-E-Madina

Bhar Do Jholi Meri Tajdar-E-Madina

Tum Zamanay K Mukhtar Ho Ya Nabi

Bekasoon K Madadgaar Ho Ya Nabi

Sub Ki Suntay Ho Apne Ho Ya Ghair Ho

Tum Ghareebon K Ghamkhaar Ho Ya Nabi

Bhar Do Jholi Meri Sirkar-E-Madina

Bhar Do Jholi Meri Tajdar-E-Madina

Hum Hein Ranj-O-Musibat K Maray Hoay

Sakht Muskhil Say Hein Gham Say Haray Hoay

Ya Nabi Kuch Khudara Hamein Bheek Do

Dar Pay Aain Hein Jholi Pasaray Hoay

Bhar Do Jholi Meri Sirkar-E-Madina

Bhar Do Jholi Meri Tajdar-E-Madina

Hein Mukhalif Zamana Kidhar Ja'ay Hum

Halat-E-Bekasi Kiss Ko Dikhla'ay Hum

Hum Tumhare Bhikari Hein Ya Mustafa

Kiss K Aagay Bhala Haath Phailaein Hum

Bhar Do Jholi Meri Sirkar-E-Madina

Bhar Do Jholi Meri Tajdar-E-Madina

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad

Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khaali

Aaa... (Chants)

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad

Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khaali

Kuch Nawasoon Ka Sadqa Ata Hoo

Dar Pay Aaya Hoon Bun Ker Sawali

Aaa...

Haq Say Paayi Wo Shaan-E-Karimi

Marhaba! Dono Aalam K Waali

Us Ki Qismat Ka Chamka Sitara

Jiss Pe Nazr-E-Karam Tum Ne Daali

Aaa...

Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko

Aabro Deen-E-Haq Ki Bacha Li

Wo Muhammad Ka Pyara Nawasa

Jiss Ne Sajday Mein Gardan Kata Li

Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko

Aabro Deen E Haq Ki Bacha Li

Jo Ibn-E-Murtaza Ne Kia Kaam Khoob Hai

Qurbani-E-Hussain Ka Anjaan Khoob Hai

Qurbaan Ho Ke Fatima Zehra K Chain Ne

Deen-E-Khuda Ki Shaan Barhai Hussain Ne

Bakhshi Hai Jiss Ne Mazhab-E-Islam Ko Hayaat

Kitni Azeen Hazrat-E-Shabbir Ki Hai Zaat

Maidaan-E-Karbala Mein Shah-E-Khush Khisaal Nai

Sajday Mein Sir Kata K Muhammad K Laal Nai

To Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko

Aabro Deen-E-Haq Ki Bacha Li

Woh Muhammad Ka Pyara Nawasa

Jiss Ne Sajde Mein Gardan Kata Li

Woh Muhammad Ka Pyara Nawasa

Jiss Ne Sajde Mein Gardan Kata Li

Aaa...

Hashr Mein Un Ko Daikhein Gay Jiss Dam

Ummati Yeh Kahein Gay Khushi Say

Aa Rahay Hein Wo Daikho Muhammad

Jin K Kandhay Pay Kamli Hai Kaali

Mehshar K Rooz Paish-E-Khuda Hoon Gay Jiss Ghari

Hogi Gunaah Gaaron Mein Kiss Darja Bekali

Aatay Hoay Nabi Ko Jo Daikhein Gay Ummati

Ik Dosre Say Sub Yeh Kahein Gay Khushi Khushi

Aa Rahay Hein Wo Daikho Muhammad

Aa Rahay Hein Wo Daikho Muhammad

Aa Rahay Hein Wo Daikho Muhammad

Aa Rahay Hein Wo Daikho Muhammad

Aaa...

Sir-E-Mehshar Gunaah Gaaron Say Pursish Jiss Khari Hogi

Yaqeenan Her Bashar Ko Apni Bakshish Ki Pari Hogi

Sub He Ko Aas Us Dam Kamli Walay Say Lagi Hogi

K Aisay Mein Muhammad Ki Sawari Aa Rahi Hogi

Pukaray Ga Zamana Us Ghari Dukh Dard K Maaro

Na Ghabrao Gunaahgaaro! Na Ghabrao Gunaahgaaro!

Aa Rahay Hein Wo Daikho Muhammad

Jin K Kaandhay Pay Kamli Hai Kaali

Aaa...

Aashiq-E-Mustafa Ki Azaan Mei

Allah Allah Kitna Asar Tha

Sacha Yeh Waqia Hai Azaan-E-Bilal Ka

Ik Din Rasool-E-Paak Say Logo Ne Yoon Kaha

Ya Mustafa Azaan Ghalat Daitay Hein Bilal

Kahiyeh Huzoor Aap Ka Is Mei Hai Kya Khayal

Farmaya Mustafa Nai Yeh Such Hai To Daikhe

Tapte Sehr Ki Aaj Azaan Koi Aur Day

Hazrat Bilal Nai Jo Azaan-E-Sehr Na Di

Qudrat Khuda Ki Daikho Na Mutlak Sehr Howi

Aaa...

Hazrat Bilal Nai Jo Azaan-E-Sehr Na Di

Qudrat Khuda Ki Daikho Na Mutlak Sehr Howi

Aaye Nabi K Paas Phir Ashaab-E-Ba-Safa

Ki Arz Mustafa Say K Ya Shah-E-Ambiya

Hai Kya Sabab Sehr Na Howi Aaj Mustafa

Gibreal Laaye Aisay Mein Paighaam-E-Kibriya

Pehlay To Mustafa Ko Adab Say Kia Salaam

Baad-As-Salaam Un Ko Khuda Ka Dia Payaam

Yoon Gibreal Ne Kaha Khair-Ul-Anaam Say

K Allah Ko Hai Pyaar Tumhare Ghulaam Say

Yoon Gibreal Ne Kaha Khair-Ul-Anaam Say

Allah Ko Hai Pyaar Tumhare Ghulaam Say

Yoon Gibreal Ne Kaha Khair-Ul-Anaam Say

Allah Ko Hai Pyaar Tumhare Ghulaam Say

Farma Raha Hai Aaj Say Yeh Rub-Be-Zuljallal

K Hogi Na Subah Dein Gay Na Jab Tak Azaan Bilal

Aashiq-E-Mustafa Ki Azaan Mein

Allah Allah Kitna Asar Tha

Arsh Walay Bhi Sunn'tay Thay Jiss Ko

Kya Azaan Thi Azaaan-E-Bilali

Aaa...

Kaash Purnam Dayyar-E-Nabi Mein

Jeetay Ji Ho Bulawa Kisi Din

Haal-E-Gham Mustafa Ko Sunaaon

Thaam Ker Un K Rozay Ki Jaali

Aaa...

Haal-E-Gham Mustafa Ko Sunaaon

Thaam Ker Un K Rozay Ki Jaali

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad

Lout Ker Mein Na Jaoon Ga Khaali...

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found