Attaulah Khan Essa

Attaulah Khan Essa - Zikar Jab Chhirr Gaya lyrics

rate me

Chasmain saqi say talab kar kay gulabi doray dil kay zakhmoon

ko kahain baith kay si laytay hoon, sagray meh to burhi cheez

hai ik nehmat hai ashq bi ankh main ber ahain to pee lehtah

hoon, "ZIKAR JAB CHHIRR GAYA UN KI UNGRAHI KA" (Is ka mutlab

wohi samaj shaktah hai jis nain kabi ungrahi daiki ho)

Meri nazar ko, meri nazar ko junoon ka payam dey saqi, meri

hayat ko lafani sham dey saqi, yeh roze roze ka, yeh roze roze

ka pena mujay pasand nahi, kabi nah hosh main ahoon woh jam dey

saqi

Zikar jab chhirr gaya un ki ungrahi ka, Zikar jab chhirr gaya

un ki ungrahi ka, sakh say phhol yooun toot kar ghir perhey,

Zikar jab chhirr gaya un ki ungrahi ka, Zikar jab chhirr gaya

un ki ungrahi ka, sakh say phhol yooun toot kar ghir perhey,

Jaisay dulhan koi pyar ki goud main, Jaisay dulhan koi pyar ki

goud main zindagi kay mazay loot kar ghir parhey

Zikar jab chhirr gaya un ki ungrahi ka, Zikar jab chhirr gaya

un ki ungrahi ka, sakh say phhol yooun toot kar ghir perhey,

Zikar jab chhirr gaya un ki ungrahi ka,

Hoti nahi wafa to jafa hi kia karo tum bi to koi rasmain

mohabbat ada karo hum tum pay mar mitay to yeh kis ka qasoor

hai ahinah lay kay hath main kuhud faislah karo ab un pay koi

baat ka hota nahi asar minth karo sawal karo iltaja karo

shermindah hoon kay maut b ahthi nahi mujay tum mayray liyeh ab

to koi budawah karo baito nah mehfaloon main zamanah kharab hai

daiko humari baat kabi sun li yah karo shaid kabi to daika gaa

woh tum ko jank kar uss ki guli main roze tamasha kia karo

Husan waloo ki gulyoon say maihat(Janaza) meri rakh kay kandey

pay jis dam utthahi gayhi

Husan waloo, Husan waloo ki gulyoon say maihat(Janaza) meri

rakh kay kandey pay jis dam utthahi gayhi

Kangiyan gaisoon main pasi reh gay heen, Kangiyan gaisoon main

pasi reh gay heen ahinain hath say choot kar gir perhey

Zikar jab chhirr gaya un ki ungrahi ka, Zikar jab chhirr gaya

un ki ungrahi ka, sakh say phhol yooun toot kar ghir perhey,

Muj ko deewana samjatay hain tayray sher kay log mayray daman

say ulajtay hain tayray sher kay log aur kia doon main tujay

apni wafahoon ka saboot ab mayray haal pay hastay hain tayray

sher kay log main gia waqat hoon wapis nahi aahnain wala kyoun

mera rasta taktay hain tayray sher kay log dil ki bathoon ko

lab per nahi latay lakin muj pay awaz to kastay hain tayray

sher kay log

Mayray mehboob nain muskaratay huyeh jab nakab apnain cherey

say sarka diyah

Chodiwain raat ka chand shermah gayayh jitnain taray they sab

toot kat gir perhey

Zikar jab chhirr gaya un ki ungrahi ka, Zikar jab chhirr gaya

un ki ungrahi ka, sakh say phhol yooun toot kar ghir perhey,

Too nain mekhanah nigahoon main chupa rakha hai hosh waloo ko

bi dewana buna rakha hai naz kaisay nah karhoon bandah nawazi

pay teri muj nacheez ko jab apna bunah rakha hai her qadam

shajdey ba sid shauq kia kartay hain hum nain Kabah tyray

koochay main banah rakha hai hey mayray perda nasheen teri

tawajoo kay nisar mainain duniya say tera ishq chupa rakha hai

jo bi gham miltah hai seenain say laga laytah hoon mai nain her

dard ko taqder bunah rakha hai bushk kar app nain isas ki dolat

muj ko yeh bi kia kum hai kay inshan bunah rakha hai

Kia butahoon kay mayoosh ansso mayray kis tarah toot kar zaibay

daman huhey

Naram bister pay jaisay koi gulbadan apnain mehboob say root

kat gir perhey

Zikar jab chhirr gaya un ki ungrahi ka, Zikar jab chhirr gaya

un ki ungrahi ka, sakh say phhol yooun toot kar ghir perhey,

Apnain cheray pay zulfain baykhayray huyeh hallay dil muj say

woh pochnain ahey they

Kitnain logoon ki neeyat main baal ahgay kitnian jam hath say

choot kar gir perhey

Zikar jab chhirr gaya un ki ungrahi ka, sakh say phhol yooun

toot kar ghir perhey,

Jaisay dulhan koi pyar ki goud main, Jaisay dulhan koi pyar ki

goud main zindagi kay mazay loot kar ghir parhey

Thanks to vicky for correcting these lyrics

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

5 Comments found

Salman
Saturday 13th of July 2024 20:58
This lyrics 😘😘
Muhammad Qureshi
Saturday 19th of March 2022 13:19
good
Anonymous
Monday 23rd of April 2018 12:22
Too nain mekhanah nigahoon main chupa rakha hai hosh waloo ko bi dewana buna rakha hai naz kaisay n
Anonymous
Wednesday 13th of March 2013 04:47
ultimate song too good.. awesome ...
Anonymous
Friday 7th of December 2012 12:22
best ghazal i've ever listen