ASHA BHOSLE

ASHA BHOSLE - Mere Hamsafar lyrics

rate me

shaam aayi hai mohabbat ki kahani leke

chaand nikla hai tamanna ki jawani leke

din nikalte hi mujhe durr kahi jaana

aakhri raat ki aakhon mein nishani leke

(mere hamsafar tujhe kya khabar

hai chala kidhar mera karwaa) - 2

jaha maut hi ke hai raaste nahi zindagi ka koi nishaan

hai chala kidhar mera karwaa

mere hamsafar

meri zindagi toh hai raat bhar koi baat sun koi baat kar - 2

meri maut mujhko bula rahi jara chhed de koi dastaan

mere hamsafar

zara aur bhi mere paas aa mujhe dekh dekh ke muskura - 2

ghadi do ghadi ki yeh phursati hai likhi naseeb mein phir kaha

jaha maut hi ke hai raaste nahi zindagi ka koi nishaan

hai chala kidhar mera karwaa

mere hamsafar

Get this song at:  amazon.com  sheetmusicplus.com

Share your thoughts

0 Comments found