Ghairo pe karam
Your rating:
Song By LATA MANGESHKAR Ghairo pe karam apno pe sitam, eh jaan-e-wafa ye zulm na kar Rehne de abhi thoda sa bharam, Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar Ghairo pe karam ... Ham bhi the tere manzoor-e-nazar, dil chaaha to ab iqraar na kar Sau teer chala seene pe magar, begaano se milkar vaar na kar (2) Be-maut kahi mar jaaye na ham Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar Ghairo pe karam ... Ham chaahne waale hain tere, yu hamko jalaana thheek nahi Mehfil mein tamaasha ban jaaye, is darja sataana thheek nahi (2) Mar jaayenge ham, mit jaayenge ham Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar Ghairo pe karam ...
Share your thoughts
No comments here yet... Be the first to give your opinion!