Home >> Artists starting with L >> LATA MANGESHKAR Lyrics >> Mere Pyar Mein Tujhe Kya Mila

LATA MANGESHKAR - Mere Pyar Mein Tujhe Kya Mila Lyrics

( mere pyaar mein tujhe kya mila
mere devata mujhe bhool ja ) -2
yahi aansuon ka hai faisala
mere devata mujhe bhool ja
mere pyaar mein tujhe kya mila

meri hasaraten mujhe ro chuki
meri manzilen mujhe kho chuki -2
main hun wo chaman tere pyaar ka -2
jo ujad gaya mujhe bhool ja
mere pyaar mein tujhe kya mila

tera pyaar mujhako na de sada -2
main hun sangadil main hun bewafa -2
jise maine khud hi bujha diya -2
main hun wo diya mujhe bhool ja
mere pyaar mein tujhe kya mila
mere devata mujhe bhool ja
mere pyaar mein tujhe kya mila
 

Share your thoughts

Comment :
Rating :
comment

(Maximum characters: 100)
You have characters left.